Sunday, November 19, 2006

Do Jawaan Dilon Ka Gam

Do jawaa.n dilo.n ka .gam duriyaa.n samajhti hai.n
Kaun yaad karta hai hichkiyaa.n samajhti hai.n

Tum to khud hi qaatil ho, tum yeh baat kyaa jaano
Kyo.n huaa mai.n deewaana, be.diyaa.n samajhti hai.n

Baam se utarti hai jab hasee.n dosheeza
Jism ki nazaaqat ko see.diyaa.n samajhti hai.n

Yu.n to sair-e-gulshan ko kitne log aate hai.n
Phool kaun to.degaa, daaliyaa.n samajhti hai.n

Jisne kar liyaa dil mein pehli baar ghar "Daanish"
Usko meri aankho.n ki putliyaa.n samajhti hai.n